@fashion_style.k: لا ترتكبي المزيد من الأخطاء ❌✨ #موضة #بيوتي #موضة_وجمال #تيك_توك #style #fashion #algerienne🇩🇿 #foryou #algerie🇩🇿_maroc🇲🇦_tunisie🇹🇳 #الشعب_الصيني_ماله_حل😂😂 #اكسبلور #portoi @nada | ندى 💜 @DERYA BAŞTÜRK 🍦 @Zeynep Bastık @yasmena🫀 @ayaalhajjali #موضة_وأناقة @🐋

🥀kamer🥀
🥀kamer🥀
Open In TikTok:
Region: DZ
Thursday 05 September 2024 19:38:15 GMT
4113
117
0
2

Music

Download

Comments

There are no more comments for this video.
To see more videos from user @fashion_style.k, please go to the Tikwm homepage.

Other Videos

Main tumse sachay dil se mohabbat karta Hun, aur shayad hamesha karta rahunga. Magar ab samajh gaya hoon ke kuch cheezein bas mukammal hone ke liye nahi hoti.
Main tumse sachay dil se mohabbat karta Hun, aur shayad hamesha karta rahunga. Magar ab samajh gaya hoon ke kuch cheezein bas mukammal hone ke liye nahi hoti. "Pata nahi yeh sab kaise aur kyun hua, magar ek baat toh sach hai-tum meri zindagi ka woh hissa ho jo shayad kabhi bhar nahi sakay ga. Magar theek hai, agar tumhari khushi isi mein hai, toh main tumhe rokne ka haq nahi rakhta. Bas itna yaad rakhna, koi tumse itni sachay dil se mohabbat kare, toh uska dil todna itna asaan mat samajhna. Tumhari yaad hamesha rahegi, chahe main jitna bhi apne aap ko samjhata rahoon. "Shayad yeh mera tumhe akhri message ho, magar yeh alfaz sirf alfaz nahi, meri toot chuki mohabbat ka woh aakhri hissah hain jo ab bhi sirf tumhara hai. Main jaanta hoon, tum shayad aage badh chuki ho, magar mujhe mat poochna ke main kahan hoon . Har raat sirf yeh sochta hoon ke aakhir kahaan kami reh gayi? Kya meri mohabbat kamzor thi? Mujhe yaad hai, tumhari woh hansi jo meri duniya roshan karti Hai, Kya tumhe kabhi ek pal ke liye bhi ehsaas hota hai ke koi har raat tumhari yaadon ke saath sota hai aur har subah tumhari kami mehsoos karta hai? Main tumse na shikwa kar raha hoon, na tumhe mana raha hoon. Bas yeh keh raha hoon ke agar kabhi kisi tanha raat tumhe bhi mehsoos ho ke koi tumse bepanah mohabbat karta tha, toh sirf ek baar sochna zaroor... Kabhi socha nahi tha ke ek chhoti si batcheet , meri zindagi ka sabse gehra zakham ban jayegi. Tum meri aadat ban chuki ho, tumse baat karna din ka sabse haseen hissa hota Hai Mujhe laga tha ke shayad yeh dosti hi ek din sachay pyaar mein badal jayegi, . Tumhare lafzon ka lehja badla, tum door hoti gayi, aur main sirf tumhe rokne ki koshish karta raha. Tum janti thi ke main kitna tot raha hoon, tum janti thi ke tum meri sabse badi kamzori ban chuki ho—magar phir bhi tumne palat kar nahi dekha. Kya mera rona, meri mohabbat, meri deewangi Mujhe tumse shikwa nahi, bas yeh kehna chahta hoon ke agar kabhi kisi lamhay mein, kisi mehfil mein, kisi tanha raat mein tumhe yeh mehsoos ho ke koi tha jo tumse bepanah mohabbat karta tha, toh sirf ek baar sochna zaroor... "Kash tumne ek baar socha hota ke main sirf mohabbat nahi karta tha, balki sirf tumhara tha." Mohabbat sirf ek lafz nahi hoti, yeh ek ehsaas hota hai jo sirf naseeb walon ko milta hai. Main woh badnaseeb tha jo tumse sachay dil se mohabbat kar baitha, Main tumse sirf ek baar milna chahta tha, sirf ek baar woh jazbaat aankhon aankhon mein kehna chahta tha jo lafzon mein nahi keh saka, magar tumne woh bhi mumkin na hone diya. Tum samne thi, magar phir bhi dur thi-jaise meri zindagi ka sabse kareebi khwab aankhon ke samne toot gaya ho. , aur main sirf yeh soch raha hoon ke kya kabhi kisi tanha raat tum mere baare mein sochogi? Kya kabhi kisi pal tumhare dil mein yeh ehsaas jagayega ke koi tha jo sirf tumhara tha? Tum meri mohabbat nahi ho, Mera Sab kuch ho— bhoolna mumkin nahi hota. magar yeh yaad rakhna, koi tumse is kadar pyaar nahi karega jaisa main karta tha. Koi tumhare liye is kadar nahi roye ga jaisa main roya tha. Koi tumhari har baat ko apni duniya nahi banayega jaisa main banata tha. "Mohabbat haar gavi magar tum bhi Nahi Jeeti Allah Hafiz My Love❤️❤️‍🩹

About