@poisoned._heart: Aurat ka ladna mohabbat ki sabse gehri nishani hai, kyun ke uska har shikayat bharay lafz mein sirf ek talash hoti hai—tumhari ahmiyat ka ehsas. Lekin jab wo khamosh ho jaye, samajh lo uska dil toot chuka hai, aur uske jazbat ka bojh ab uski khamoshi uthane lagi hai. Aurat ki khamoshi sabse gehri narazgi hai, lekin mard aksar is khamoshi ke peechay chhupay jazbat ko samajhne mein dair kar dete hain. Jo mohabbat kabhi zuban se bayaan hoti thi, wo ab dard ban kar dil ke andheray mein gum ho jati hai, aur tab tak mard ko iska ehsaas hota hai jab mohabbat ke rang pheekay pad chuke hote hain