Ahmed jatoi 💯💯 :
Woh thak chuka tha naye bahane talash karte,
Mere khuloos se raste ki deewar-o-dar tarashte.
Uski aankhon mein ik ajab si uljhan thi,
Chhorna chahta tha, magar zubaan pe thakan thi.
Maine dekha ke woh mujhse katraane laga hai, Meri wafaon se ab woh ghabrane laga hai. Uski mushkil mujhse dekhi na gayi,
Apni mohabbat ki be-basi dekhi na gayi.
Phir maine khud hi uske haq mein faisla kar diya,
Apne hi kirdar ko thoda sa dhundhla kar diya.
Maine kasamein kha kar keh diya ke "Main bewafa hoon," Taaki woh kahe zamane se ke "Main be-khata hoon." ---
Ab woh khush hai ke ilzaam mujh par aa gaya,
Meri zindagi ka saara sukoon uske kaam aa gaya.
Woh ab bhi sacha hai, aur main bura kehlata ,,, ,,, , plz bhai plz bhai allah ka wasta he ek bar bs ek bar ye nazm bolo plz bhai bohat dukh he bhai plz bhai ap mera dard samjho ge yakeen he mujhe bhai 🥺📝
2026-03-02 19:45:07