تم اور تمہاری یادیں 💔 :
sab chor gaye, main akela khada,
Na mohabbat mili, na mehboob wafa…
mujhe tumne itna zalil kiya ke main ab apny ap se nazar bi nhi mila skta or na he on logon se mila skta hun jinko maine tumhara btaya tha ab main apni ami ko kya btao jab wo mujhse puche gi ke kaha ha wo main onko kya bolo ga ? Tumne mujhe os time or chor diya jab mujhe tumhari sabse zyda zaroorat. Thi .. mera har din aur har raat uske liye duaon aur minaton mein guzar gaya. Uske liye main ne apne jazbaat, apna waqt, apni khushi sab kuch qurban kar diya, bas is umeed mein ke woh mere saath hamesha rahegi. Usne kaha tha ke woh kabhi chor kar nahi jayegi, ke woh meri zindagi ka woh hissa hai jo kabhi alag nahi hoga. Lekin aaj main akela hoon, aur uske waade sirf yaadon ki tarah reh gaye hain. Dil ke andar ek khali pan hai jo har lamha shor machata hai, aur har yaad ek zakham ki tarah dard deti hai. Main toot gaya hoon, lekin meri kahani yeh sabit karti hai ke mohabbat sirf khushi ka naam nahi, balki dard aur yaadon ka bhi ek gehra samundar hai. Main ne apni rooh tak ki minatein ki, lekin jab insaan chala jaye to sirf aansoon aur yaadein reh jaati hain. Aaj main bas itna kehna chahta hoon ke mohabbat ki asli taqat us waqt samajh aati hai jab woh insaan humse door ho jaye, aur hum apne dil ke tukde uthakar zindagi ko dobara jeene ki koshish karte hain.”lekin phir bi hum osko dubara start nhi kr skty mujhe lga tha jab sab ne mujhe chor diya tum mera sath dogi lekin tumne kya kiya ? Sabki trha mujhe akela chor diya …… guess what? Na mehbooh mila na oski muhabbat …. 💔
2026-06-07 19:03:12