AlFateh Garage :
Kaali coffee shayad is liye khaas hai ke woh hamein pasand kiye jaane se zyada, khud rehne ka hunar sikhati hai.
Yeh duniya aksar un awaazon ko pasand karti hai jo kaanon ko bhali lagen, magar tareekh un logon ko yaad rakhti hai jo zameer ko jaga jaayen. Har sach meetha nahin hota, har roshni narm nahin hoti, aur har qeemti cheez foran pasand nahin ki jaati.
Ahl-e-Hikmat kehte hain ke jo apni asal kho kar qubooliyat hasil kare, woh hujoom to paa leta hai magar khud ko kho deta hai. Jabke jo apni haqeeqat par qaim rahe, ibtida mein tanha zaroor hota hai, magar aakhirkaar mo’tabar ho jata hai.
Kaali coffee ki tarah kuch shakhsiyatain bhi waqt maangti hain. Woh pehli chuski mein nahin, shuoor ki aakhri manzilon mein samajh aati hain. Un ki qadr zaban nahin karti, baseerat karti hai.
Zindagi ka ek ajeeb usool hai; masnooi mithaas lamhon ke liye mutasir karti hai, magar kirdar ki talkh sachaiyan umron tak yaad rehti hain.
Is liye har dil ko khush karne ki koshish mat kijiye. Chiragh ka maqsad yeh nahin ke har aankh use khoobsurat kahe, balki yeh hai ke andheron mein apna farz ada kare.
Kyunke waqar woh khushboo hai jo tareefon se nahin, kirdar se janam leti hai. Aur kuch log black coffee ki tarah hote hain; kam pasand kiye jaate hain, magar jab samajh aa jaayen to phir un ka koi mutabadil nahin rehta………
2026-06-16 09:32:58