@paighamenoor: Kya rone aur Noha karne mein farq hai? | Nabi ﷺ ne Noha karne walon ke bare mein kya farmaya? 📖 PROOFS (QURAN + SAHIH AHADITH) – NOHA & SABR 1) Jahiliyat ke 4 kaam (Noha included) “Nabi ﷺ ne farmaya: meri ummat mein 4 Jahiliyat ke kaam honge… noha bhi in mein se hai.” 📚 Sahih Muslim (934) 2) Mayyat par noha mana “Jo gaal peete, kapray phaadta aur Jahiliyat ki tarah cheekhta hai woh hum mein se nahi.” 📚 Sahih Bukhari & Sahih Muslim 3) Mayyat ko azab ho sakta hai “Mayyat ko uske ghar walon ke noha ki wajah se azab hota hai.” 📚 Sahih Muslim (927) 4) Sabr ka hukum “Aur sabr karne walon ko khushkhabri de do.” 📖 Surah Al-Baqarah (2:155) 5) Inna lillah ka hukum “Jo museebat par kehte hain: Inna lillahi wa inna ilayhi raji’un.” 📖 Surah Al-Baqarah (2:156) 6) Zor se rona Jahiliyat “Mayyat par cheekhna aur zor se rona Jahiliyat ka kaam hai.” 📚 Sahih Bukhari / Sahih Muslim 7) Nabi ﷺ ka tareeqa “Nabi ﷺ ne farmaya: Aankh aansu bahati hai aur dil ghamgheen hota hai, magar hum sirf woh kehte hain jo Allah pasand kare.” 📚 Sahih Bukhari (1303) FINAL POINT: Islam mein normal rona jaiz hai, lekin noha, cheekhna, kapray phaadna aur Jahili tareeqe mana hain. #IslamicReminder #friday #NohaInIslam #fyp #paighamnoor