@shadowedemotions: Dhoka milna takleef deta hai. Lekin pakde jane ke baad jo dimaagi khel shuru hota hai, wo dhoke se bhi hazaar guna zyada khatarnak hai. Psychology mein isey Trickle Truthing kehte hain. Jab ek manipulator pakda jata hai, toh wo poori asliyat ek sath nahi batata. Wo sirf utna hi qabool karta hai jitne ka tumhare paas proof hota hai. Iska maqsad maafi mangna nahi, damage control karna hota hai. Wo tumhe confusion mein rakhte hain taake unka control qayam rahe. Ye trick tumhara dimaagi tawazun tabah kar deti hai. Tum ek partner se badal kar ek detective ban jate ho. Har naya sach tumhe naye siray se todta hai aur tumhari self respect zero ho jati hai. Apni tehqeeq wahin band kar do jahan pehla jhoot pakda jaye. Adha sach asal mein ek mukammal jhoot hota hai. Jis buniyaad mein fraud ho, wahan safai ya poore sach ka intezar karna dimaagi ghulami hai. Apni boundaries set karo aur detachment ikhtiyar karo. Apna experience comment karo. Kya tumne bhi in qistoon wale sach ka samna kiya hai? #Psychology #cheating #narcissist #viralvideos #lahore