. :
"Main tumse sachay dil se mohabbat karta tha, aur shayad hamesha karta rahunga. Magar ab samajh gaya hoon ke kuch cheezein bas mukammal hone ke liye nahi hoti. Tumhari khushi meri duaa hai. Khush raho." "Pata nahi yeh sab kaise aur kyun hua, magar ek baat toh sach hai—tum meri zindagi ka woh hissa thi jo shayad kabhi bhar nahi sakay ga. Main ne tumhe sirf mohabbat nahi ki, tum meri aadat ban chuki thi. Har din tumse baat karna, tumhari hansi sunna, tumhari narazgiyan manana... yeh sab ab sirf yaadein reh gayi hain. Mujhe ab bhi yaqeen nahi aata ke tum bina kisi mushkilat ke aage badh gayi. Kya kabhi ek pal ke liye bhi socha ke main kis dukh se guzar raha hoon? Shayad nahi... Magar theek hai, agar tumhari khushi isi mein hai, toh main tumhe rokne ka haq nahi rakhta. Bas itna yaad rakhna, koi tumse itni sachay dil se mohabbat kare, toh uska dil todna itna asaan mat samajhna. Tumhari yaad hamesha rahegi, chahe main jitna bhi apne aap ko samjhata rahoon. Khush raho... aur agar kabhi kisi mod par yaad aaun, toh sochna zaroor ke koi tha jo tumse bepanah mohabbat karta tha." "Shayad yeh mera tumhe akhri message ho, magar yeh alfaz sirf alfaz nahi, meri toot chuki mohabbat ka woh aakhri hissah hain jo ab bhi sirf tumhara hai. Main jaanta hoon, tum shayad aage badh chuki ho, magar mujhe mat poochna ke main kahan hoon— kyunki main al bhi wahin hoon, uss mod par jahan tumne mujhe chhoda tha. Har raat sirf yeh sochta hoon ke aakhir kahaan kami reh gayi? Kya meri mohabbatkamzor thi? Ya phir tumhari doori taqdeer ka likha tha? Mujhe yaad hai, tumhari woh hansi jo meri duniya roshan karti thi, woh shikayatein jo sirf mujhse thi, woh lafz jo sirf main samajhta tha... Sab kuch ab bhi dil ke kisi kone mein basa hai, magar al sirf ek khamosh dukh ki tarah. Kya tumhe kabhi ek pal ke liye bhi ehsaas hota hai ke koi har raat tumhari yaadon ke saath sota hai aur har subah tumhari kami mehsoos karta hai? Main tumse na shikwa kar raha hoon, na tumhe mana raha hoon. Bas yeh keh raha hoon ke agar kabhi kisi tanha raat tumhe bhi mehsoos ho ke koi tumse bepanah mohabbat karta tha, toh sirf ek baar sochna zaroor... "Kaash woh mohabbat mukammal ho sakti...!" Kabhi socha na
2026-06-27 05:38:08