@fadingecho535: "Choti beti hona itna asaan nahi hota. Sab kehte hain ke woh ghar ki laadli hoti hai, lekin koi us khamoshi ko nahi samajhta jo woh apne dil mein chhupa leti hai. Har kisi ki khushi ka khayal rakhte rakhte kab uske apne ehsaas peeche reh jate hain, pata hi nahi chalta. Woh aksar muskura kar sab ko yakeen dila deti hai ke sab theek hai, magar uski aankhon mein chhupe aansu sirf uska Rab jaanta hai. Choti beti sirf laadli nahi hoti, woh ghar ki woh khamosh dua hoti hai jo apna dard chhupa kar bhi sab ke liye muskurati rehti hai. 🤍🥀"... #creatorsearchinsights #motivational #viewsproblem #viralvideo #unfrezzmyaccount