Pakistani :
👍👍👍Molana Shab please Khuch Miya Biwi saari Zindgi ikhtlaafaat k bawajood bachon ki khatir nibah kartay Hain,Lakin jub bachay Jawan ho jaatay Hain,khushiyaan Samaitnay ka waqat aata hy tou phir puraanay ikhtlaafaat ki bunniyaad pr phir dubara Miya Biwi Mai intiqaam or badlay ki aag shurru ho jati hy hy,jub k yeh aag Laganay waalay bahir k log hi hotay Hain,kia bachay es Liay paida kiay jatay Hain k uun k kundhay pr baith kr miyan Biwi pahaarh jeasi Zindgi guuzarain or phir baad Mai ikhtilaafat Shuru kr dain, Molana Shab aik khatoon thi,ALLAH ne uus ko 5 batay or 1 beti di thi,Lakin uus ka shohr uus ko maarta tha tashaduud karta tha darwaza andar se bund kr k, Lakin jub bachay Jawan huay tou uus aurat ne apnay beton k Saath mil kr uusi shohr ko Ghar se nikaal dia or footpaath pr bethaa dia bheek maangnay k Liay,kia mard aurat pr haath uuthaa kr theek kartay Hain???ya phir baad Mai aurat intiqaam Laiti hui achi Lagti hy??? Khuch auratain aisi bhi daikhi Hain Jo saari Zindgi apnay Shohr se maar khaati Hain,Lakin phir bhi mertay dum tak badla NAHI Laiti,Lakin hum ne yeh daikha hy Jo mard apni Biwi pr haath uuthatay Hain uun ki biwiyon ka SEX system tabbah ho jata hy,jazbaat khuttum ho jatay Hain,or uus aurat ka working Estemina bhi kum ho jata hy ya khuttum ho jata hy,or phir aisay gharon Mai bachon k Zehnon pr kia Assar HOTA ho ga???please Molana Shab logon ko awareness dijiaay,phir yehi mard apni biwiyon ko nakara kr bahir ki auraton Mai mouh maartay Hain,
2026-07-26 05:01:14