@void.armaan: ➡️| Aur yeh din hain, jinhein hum logon ke darmiyan badalte rehte hain. (Surah Al-Imran, Ayat 140) Arabi Ayat: وَتِلۡكَ الۡاَيَّامُ نُدَاوِلُهَا بَيۡنَ النَّاسِ 📌 Tashreeh: Is aayat mein Allah ta'ala ne zindagi ki aik buhat barri haqeeqat bayan ki hai ke halaat hamesha aik jaise nahi rehte. Zindagi mein kabhi khushi, kabhi gham, kabhi kamiyabi aur kabhi nakami ka daur aata rehta hai. Yeh waqt ka khel aur qudrat ka nizam hai jo logon ke darmiyan dinon ko ulat-pult karta rehta hai taake sabar karne walon aur shukar karne walon ki parakh ho sake. Jab bure din hon toh na-umeed nahi hona chahiye kyunki waqt ko badalte dair nahi lagti. #fypシ゚viral #اکسبلور #viral #camebacktoallah