@husnainx1_: Pakistan's 'K' Means Kashmir, But Where Is Their Space? Kya hum apne hi logo ki awaz sunne se inkaar kar rahe hain? Kashmir sirf ek khitta nahi, balki hamari pehchan ka hissa hai. Lekin aaj jab wahan ke log apne huqooq ke liye awaz uthate hain, toh sach ko dikhane ke bajaye narrative ko badal diya jata hai. Media ki zimmedari sach dikhana hai, na ke haqaiq ko marodna. Quaid-e-Azam jis zameen ko sukoon ka markaz samajhte the, wahan aaj dard aur be-chaini kyun hai? Masail ka hal nafrat ya ladai me nahi, balki mil baith kar baat karne me hai. #husnainx1 #kashmir #qaid_e_azam