@muftirashidanwar: سوال : کیا امام کے پیچھے سورہ فاتحہ پڑھنی ہے یا نہیں؟ Sawaal:Kya Imaam ke peeche Surah Fatiha parhni hai ya nahi? جواب: نہیں ۔اسکی دلیل یہ ہے ۔ حضرت جابر بن عبد اللہ رضی اللہ عنہ رسولِ اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کا فرمان نقل کرتے ہیں : جس شخص کا کوئی امام ہو تو امام کی قرأت اس کی بھی قرأت ہے۔(سنن ابن ماجہ ) نبی اکرم علیہ الصلوٰۃوالسلام نے ارشاد فرمایا کہ: ’’جس شخص نے کوئی رکعت اس طرح پڑھی کہ اس میں سورۂ فاتحہ کی قرأت نہ کی ہو تو گویا اس نے نماز ہی نہ پڑھی، الا یہ کہ وہ امام کے پیچھے ہو‘‘۔ یعنی اگر امام کے پیچھے ہو تو سورۂ فاتحہ نہ پڑھنے میں کوئی حرج نہیں۔(سنن الترمذي) Sawaal:Kya Imaam ke peeche Surah Fatiha parhni hai ya nahi? Jawab:Nahi. Iski daleel yeh hai. Hazrat Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu Allah ke Rasoolﷺ ka farman naql karte hain: Jis shakhs ka koi Imam ho to Imam ki qirat us ki bhi qirat hai. (Sunan Ibn Majah) Nabi Akram Alaihis Salatu Was Salam ne irshad farmaya ke: "Jis shakhs ne koi rakat is tarah parhi ke us mein Surah Fatiha ki qirat na ki ho to goya us ne namaz hi nahi parhi, illa yeh ke woh Imam ke peeche ho". Yaani agar Imam ke peeche ho to Surah Fatiha na parhne mein koi haraj nahi. (Sunan At-Tirmidhi) Namaz Mein Aaoozubillah Aur Bismillah Kahan Parhen? (Complete Guide) ’نماز میں اعوذ باللہ اور بسم اللہ کہاں پڑھیں؟ (مکمل رہنما ئی ) Namaz Mein Aaoozubillah Aur Bismillah Kahan Parhen? (Mukammal Guide) Namaz mein Aaoozubillah aur Bismillah kahan parhni hai aur kahan nahin, yeh baat ek hi baar mein aasani se samajh len. Muqtadi, yani jo Imam ke peechhe namaz parh raha ho, woh nah Aaoozubillah parhe ga aur nah Bismillah, kyonke woh namaz mein Quran nahin parhta hai. Woh sirf Sana parh kar khamosh khara rahe ga. Ab baat karte hain tanha namaz parhne wale ki aur Imam ki. Aaoozubillah minash-shaitaanir-rajeem sirf pehli rak'at mein Sana ke baad parhen. Baqi kisi bhi rak'at mein Aaoozubillah nahin parhni hai. Aur Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem: Har rak'at mein Surah Fatiha se pehle parhni sunnat hai. Ab agar Surah Fatiha ke baad jab koi doosri surah milani ho to mas'alah yeh hai: Agar surah bilkul shuru se parh rahe hain to us se pehle Bismillah parhna mustahab aur behtar hai, zaroori nahin. Aur agar koi surah darmiyan se parhna shuru kar rahe hain phir Bismillah parhne ki zaroori nahin hai. Yeh to ek asaan usool hua, ab do baat aur samajhna zaroori hai. Pehli baat: Namaz mein jahan bhi Aaoozubillah aur Bismillah parhi jati hai, woh parhna sunnat hai yani farz ya wajib aur zaroori nahin. Ab agar kisi ne poori namaz mein Aaoozubillah Bismillah jaan kar chhoot di kahin nahin parhi to namaz to ho jaye gi magar makrooh ho gi. Aur agar bhool kar chhoot gai hai to namaz bilkul sahih ho gi. Doosri baat: Yeh jo usool main ne Aaoozubillah aur Bismillah parhne ka bataya yeh usool: Farz, Wajib aur Sunnat-i-Moakkadah namazon ka tha. Kyonke in ke ilawah jo do namazen hain Sunnat-i-Ghair-Moakkadah aur Nafl namazen; in ka mas'alah yeh hai, woh agar do rak'at parhni hain; to oopar wala hi usool hai. Lekin agar Sunnat-i-Ghair-Moakkadah aur Nafl namazen chaar rak'at ek salaam ke saath parhni hain to in mein chyonke har do rak'at alag shumaar hoti hain, chahe chaar rak'at ek salaam se parhen aap; phir bhi do rak'at alag shumaar hoti hain aur do alag hoti hain, is liye teesri rak'at ke shuru mein bhi Sana ke baad Aaoozubillah parhi jaye gi aur phir Bismillah waghairah. Isi tarah woh shakhs jis ki Imam ke peechhe kuch rak'aten chhoot gai hon, woh jab apni baqi namaz parhne ke liye akela khara ho ga to woh Sana bhi parhe ga aur us ke baad Aaoozubillah bhi aur phir Bismillah waghairah, kyonke qiraat ke i'tibaar se yeh us ki pehli rak'at ho gi.
Mufti Rashid Anwar Bulandshahr
Region: AE
Wednesday 12 August 2026 10:12:22 GMT
Music
Download
Comments
Mufti Rashid Anwar Bulandshahr :
حدیث : اگر امام کے پیچھے ہو تو سورۂ فاتحہ نہ پڑھنے میں کوئی حرج نہیں۔(سنن الترمذي)
2026-08-14 02:23:52
8
De Mirza :
molvi sab sanna har rakat main parhni chayi yah nahi?
2026-08-12 18:06:00
0
کرم حسین :
بلکل صحیح فرمایا آپ نے اللہ تعالیٰ جزائے خیر دے آمین اللھم ربنا آمین
2026-09-15 09:32:29
2
Ameer khan :
مفتی صاحب اپنی جنت کا ایڈریس بھی مینشن کر دیتے کیوں کہ جو جنت رب العالمین کی ھے اس میں سورہ فاتحہ امین بالجہر اور رف الیدین بہت شکریہ مفتی صاحب
2026-09-09 13:23:11
1
kpMustafa :
moulavi athahiyyathme bismi padnevaleko kiya bolega.koyi dhaleel hi.
2026-08-18 08:07:47
1
Jaffer Zour :
حافظ صاحب رفعیدین کرنا جائز ہے یا نہیں
2026-08-30 12:53:26
1
shamsunnisa770 :
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته جزاك الله خير
2026-09-13 06:46:51
1
Mulazim :
زبردست
2026-08-12 11:04:40
2
khurshidalam :
کیون بھای امام کے پیچھے سورہ فاتحہ تو پڑھنی ھی ھے
2026-09-06 03:17:27
0
NOOR UL HAQ :
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
اللہ پاک آپ کو دنیا و آخرت کی خوشیاں عطاء فرمائے ۔امین
2026-08-12 10:30:00
3
Sarfaraz Sarfaraz :
Masha Allah
2026-10-10 19:06:47
0
Muhammed Safeer Mu35 :
غیر مؤکدہ سنتیں تیسری رکعت سبحانہ سے شروع کرنی ہے
اس میں یہ بتائیں کہ دوسری رکعت کے بعد اتاحیات پوری پڑھنی چاہیے کیا؟
2026-08-12 10:26:01
0
Haji. usman Mughal :
السلام علیکم حضرت صاحب کیا حال ہے ٹھیک ہیں ا صاحب عشاء کے تین وتر کیسے پڑھنے ہیں ان کا طریقہ کار بتا دیں
2026-09-16 20:48:52
0
🖐🏿🇰🇲🇰🇲 :
2026-08-12 10:23:38
0
Arshad pegion :
👌👌👌❤️👍
2026-10-05 09:39:25
0
Mufti Rashid Anwar Bulandshahr :
Hadees: Agar Imam ke peeche ho to Surah Fatiha na parhne mein koi haraj nahi. (Sunan At-Tirmidhi)
2026-08-14 02:30:31
2
Mufti Rashid Anwar Bulandshahr :
Hdees: Agar Imaam ke peeche ho to Surah Fatiha na parhne mein koi haraj nahi. (Sunan At-Tirmidhi)
2026-08-14 02:24:53
0
MOHD SALEEM :
Masha ALLAH
2026-10-04 16:47:43
0
Amanat Ansari :
masaala
2026-09-25 14:23:41
0
MAQSOOD ARSHAD 😊 :
👍👍👍👍👍👍
2026-09-15 20:46:14
0
javeriya :
Subhan Allah Very beneficial vedio
Ma Shaa Allah
2026-10-08 07:37:50
0
𝐆𝐡𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐖𝐫𝐢𝐭𝐞𝐬 :
جزاک اللہ خیرا ❤️
2026-10-22 12:21:59
0
Noor Fattar Qillah :
اپ کے حساب سے تو امام کے پیچھے کھڑا رہو بس سجدہ رکوع میں سنا پڑھو باقی تکبیر کے ساتھ کھڑا رہو باقی سارا نہ تو بتا رہے تھے چاہے امام کے پیچھے ہو سورہ ضرور پڑھو تو سورہ فاتحہ پڑھو اور نہ نماز نہیں ہوگا تو کہاں جائے انسان بغیر جاننے والوں کہاں جائے کس کے بات سنیں
2026-09-24 19:00:24
0
javed baloch.💯 :
2026-09-15 21:17:33
0
khan :
MashaAllah
2026-08-12 10:34:03
0
To see more videos from user @muftirashidanwar, please go to the Tikwm
homepage.