@rehan.dawah: Ehsaan Karke Zaleel Karna! Kisi ki mushkil waqt mein madad karke, baad mein usi ehsaan ko uski majboori bana dena, dil tod deta hai. 💔 Allah Ta’ala farmata hai: “Apne sadqaat ko ehsaan jata kar aur takleef de kar zaya na karo.” Surah Al-Baqarah 2:264 Aur Nabi ﷺ ne farmaya: "Teen tarah ke log aise hain jin se Allah Qiyamat ke din na baat karega, na unki taraf dekhega... unme se ek woh hai jo kisi ko kuch de kar us par ehsaan jatata hai (المنان)." Sahih Muslim 106b Neki karo, lekin uska ehsaan mat jatao. #IslamicReminder #Quran #Hadith #Sunnah #deenoverdunya Reminder Ehsaan dawah