Hamesha sabne samjhdaar bola hai mujhe, aisa kiyu hai main nahi jaanta. Shayad isliye ki main unke dil ki baaton ko pehle hi padh leta hu, samjh jata hu ki woh kis haal me honge aur jitna ho paye utna unke bure waqt me saath rehta hu. Par ye sab baatein mujhe jhoothi lagti hai, main kabhi itna samjhdaar ban hi nahi paya. Banna zaroor chahta tha par iss tarah nahi ki khud par se bharosa hi kho du main. Akela rehta hu, zada apne dard ke baare me batata nahi toh sabko lagta hai ki kuch hua hi nahi mere saath aur shayad isilye sab samjhdaar maan baithe hai mujhe..