@01deeneuloom: post 100|Qabar mein dafan karne ke baad agar kisi marhoom se poocha jaye ke agar tumhein dobara zindagi mil jaye to kya karoge? Woh kahega: sab se pehle namaz parhunga, nek amal karunga, bure kaamon ko chhor dunga, Quran sununga aur Allah ko yaad karunga. 💔 Lekin jo chala gaya, woh dobara wapas nahi aa sakta. Aaj hum zinda hain, hamare paas waqt hai aur tauba ka darwaza khula hai. Is liye kal ka intezar na karein, aaj hi apni zindagi Allah ke hukm ke mutabiq guzarna shuru karein. Panch waqt ki namaz ki pabandi karein, nek amal karein aur gunahon se bachne ki koshish karein. Allah humein amal ki taufeeq ata farmaye. Ameen 🤲 #MaulanaAbaadullah #Namaz #Quran #IslamicReminder #unfreezemyaccount