sahin :
mujhe sunna hai tumhe tum batao kuch bhi, din khaas beeta tumhara ya guzra ohi, bolo kuch apne ghar ke, bahar ke nazaaro ki baatein karo,jaha mann pasand pakwaare milte hain tumhare, unn bazaaro ki baatein karo, jahan gayi thi tum kuch din pehle ghoomne, unn pahaaro ki baatein karo,jinhe dekh kar tumne khwahishe maangi, unn toote sitaaro ki baate karo, dard mein kitna roya ho tum unn ghamo ki baate karo, khushi se jad tum uchal gayi thi aaj unn palo ki baate karo, likh likh kar jo tumne mita diya mujhse unn khato ki baate karo, chor diya jinhone tumhe apna bana kar unn apno ki baate karo, mujhe sunna hai tum apne kisi mazedaar safar ki baate karo main aakho se bhi sunn lunga, tum nazar se baate karo, koi kissa batao kuch apna bataokabhi idhar udhar ki baate karo, bina soche tum bas bolo aaj duniya bhar ki batte karo,tumhari aawaaz sunni hai, tumhari baat sunni hai, me milne ka ho toh mulaqate karo, mausam ki barsaat ki haal ki halaat ki jo dil me aaye woh sab baate karo,
2026-09-22 07:26:09