Sain_سرکار :
ONE SIDED LOVE TRUE STORY.
6th class mein pehli baar use dekha tha, dil bas waheen thehar gaya. Par kuch mahino baad wo school chhor kar chali gayi. Main har jagah dhoondta raha, aakhir thak kar haar maan li. Phir Matric ke baad jab college gaya, toh aik din wahi Carry dibbe mein nazar aayi... Subah subah roz us ke raste par khada rehta tha sirf aik jhalak ke liye. 2 saal yunhi guzar gaye, par dar lagta tha ke kahin wo mana na kar de, is liye kabhi keh nahi paya.
15 Feb 2025 ko dost ke cousin ki shadi mein gaya... Aur wahan jab use dekha, toh wo dulhan ke libas mein thi. Mera dil wahi toot gaya. Tuta hua ghar aaya toh dekha koi nahi tha. Behan ne bataya Ammi ki tabiyat kharab thi toh Abu doctor ke paas le gaye hain. Main apne kamre mein ja kar ro raha tha, bas yehi dua maang raha tha ke mujhe maut aa jaye...
Achanak darwaze ki bell baji, Chachu aaye. Unhone mujhe rote dekh kar gale se laga liya aur kaha—"Tujhe kis ne bataya ke tere Abu ka accident mein intaqal ho gaya hai?"
Mera aasmaan phat gaya. Marna toh main chahta tha, phir mere Abu kyun?
Chand mahino baad Abu ki dukaan sambhalni padi. Kismat ka khel dekho, wo dukaan uske sasural ke bilkul kareeb hai. Ab har roz use kisi aur ke sath dekhta hoon. Aaj 27 saal ka ho chuka hoon, 3 behnon ka iklota bhai hoon. Ammi kehti hain shadi kar lo, unke bhi kuch armaan hain... Par mera dil ab kisi aur ke liye nahi dhadak sakta.
Log kehte hain larke loyal nahi hote... Are aik deedar ke badle jisne apni poori zindagi qurban kar di, ab is se zyada loyalty aur kya hoti hai? 💔💔
2026-10-03 19:00:13