Bhai, aap ek meherbani karein, Doctor Israr Ahmed Sahib ki picture lagaya karein ya unki poori video lagaya karein. Lazmi nahi ke aap shuru mein Doctor Israr Ahmed Sahib ki video dikhayein aur uske baad khane-peene ki video ya koi aur video laga dein, kyun ke ye ghalat hai.
Wajah ye hai ke Doctor Israr Ahmed Sahib ko poori duniya mein Muslim log pasand karte hain. Is liye aap koshish karein ke aisa na kiya karein. Unki jo genuine video ho, wohi lagaya karein. Hum unki videos shauq se sunte hain. Is liye meherbani karke unki video ko kharab na kiya karein.