Kal aik bnda interview due rha tha jo aik wakeel tha. Us sy puch rhy thy k andr ki khabar btao wo keh rha ta k wakeelo sy suna h shyd jahaiz claim kia ha phir us sy pucha gya k aur maintenance kitni mangi h emaan ne to kehta k no idea but lakho m hi ho gi. Mjhy pta ta k ab ye cheez viral ho jae gi aur ese log baghair jannay bat viral krty hn. Allah sy drna chaheye. Wo wakeel khud b keh rha ta k m inka wakeel ni Hu pr lgta ha lgta ha k lakho m. Aur ab 7 ka figure khud add kr k rajab family aur ghazal family jo already is bechari yateem k against thy unhn aik point mil gya ha usy zaleel krnay ka. Allah sy drna chaheye.