@narraations: Kabhi jo mil jaye us par ghuroor mat karo, aur jo kho jaye us par toot mat jao. Allah Ta’ala Surah Al-Hadid, Ayat 23 mein humein yaad dilate hain ke jo kuch hum se reh jaye us par hadd se zyada gham na karein, aur jo Allah humein ata farmaye us par itraayein nahi. Duniya ki har cheez aarzi hai, lekin Allah par yaqeen dil ko sukoon deta hai. “Taake tum us cheez par gham na karo jo tumhare haath se nikal jaye, aur us par itraao nahi jo Allah tumhein de.” Surah Al-Hadid (57:23) Allah humein sabr, shukr aur apne faislon par razi rehne wala dil ata farmaye. Ameen. #SurahHadid #QuranReminder #QuranAyat #IslamicReminder #Allah