@lahorewaleho: 15 saal ka Waseem Abbas Multan mein electrician ka kaam seekh raha tha. Police ke mutabiq, kaam chhor kar jaane ke baad contractor ne uska pehle paidal aur phir car mein peecha kiya. CCTV mein Waseem ko bhaagte aur gaari ko uske peeche aate dekha ja sakta hai. Kuch hi lamhon baad woh car ki takkar se jaan se chala gaya. Police ne contractor Tauqeer Nazir ko arrest kar liya hai, gaari qabze mein le li gayi hai aur murder case register ho chuka hai. Investigation abhi jaari hai. 15 saal ki umar mein ek bacha skill seekhne nikla tha. Ghar wapas nahi pohanch saka. May Allah grant him Jannah and give his family sabr. Disclaimer: This post is based on police statements, available CCTV footage and media reports. The case is under investigation, and allegations against the accused remain subject to legal proceedings. #multan #waseemabbas #justice #pakistan #lahorewaleho