@bekhofsherni: Wafa Kya Hai? 🥀 Wafa kya hai, kabhi dil se poochna, Kisi ke liye khud ko bhool jaana. Woh door ho kar bhi dil mein rahe, Har dard mein bhi uska naam kahe. Wafa sirf saath rehne ka naam nahi, Har roz mohabbat jatane ka naam nahi. Jo waqt badalne par bhi na badle, Jo laakh dardon mein bhi dil na badle. Wafa woh hai jo lafzon ki mohtaaj nahi, Jahan faasle hon, magar bewafai nahi. Jahan milna naseeb mein likha na ho, Phir bhi dil mein kisi aur ka khayaal na ho. ❤
Bekhof-Sherni
Region: GB
Wednesday 21 October 2026 16:29:10 GMT
Music
Download
Comments
There are no more comments for this video.
To see more videos from user @bekhofsherni, please go to the Tikwm
homepage.