Bilkul durust baat hai, afsos ke baaz taleemi idaron mein students ke mustaqbil ko sanwarne ke bajaye teachers aik doosre ki taangein khenchne mein waqt zaya karte hain. Agar yehi mehnat taleem ke mayaar ko behtar banane par ki jaye to hamare students ka mustaqbil roshan ho sakta hai. Teacher ka asal maqam aik doosre ki hosla afzai aur ilm ki roshni phailane mein hai.