Irfan Khan :
🫥 🫥 🫥 🫥 🫥
*S - Soch* samajh kar chhora hai, kisi gusse mein nahi
*A - Achanak* nahi, bohat raatein jaag ke faisla kiya hai
*N - Na* dil khush hai, na sukoon hai, par afsos bhi nahi
*A - Aaj* bhi pareshan rehti hun, par peeche mur ke nahi dekhti
*T - Tum* poochte ho kya usko chhor diya?
*A - Asal* mein maine khud ko bachaya hai
*R - Raat* bhar is chhat pe khari, yahi sochti hun
*I - Ik* baar nahi, sau baar socha tha, tab ja ke chhora hai
*Q - Qasoor* uska bhi nahi, qasoor mera bhi nahi, bas khatam ho gaya tha
*K - Koi* pachtawa nahi, koi ilzaam nahi
*H - Har* dua mein ab bhi uska naam aata hai, par wapas jaane ka nahi
*A - Agar* wapas jaungi to phir se wohi takleef
*N - Nahi* main peshiman nahi hun, bas thori pareshan rehti hun
2026-10-31 19:17:56