@exo_world_heros: Part 4| Ziqiu waqai bohat lucky hai ke uski zindagi mein Ling Xiao aur Jianjian jaisay behan bhai hain. 🥹❤️🩹 Ziqiu ki zindagi mein chahe kitni bhi mushkilein aayi hon, lekin uske paas aise log hain jo uski choti choti baaton ka khayal rakhte hain, uski fikar karte hain, uski pareshani samajhte hain aur bina kahe uska saath dete hain. Woh usse apni jaan ki tarah chahte hain, har mushkil mein uske saath kharay rehte hain aur use kabhi akela mehsoos nahi hone dete. 🫂💗 Uski care karna, uski khushi ka sochna aur har waqt uske liye kharay rehna hi toh asal behan bhai ka pyar hai. Ziqiu ke paas shayad duniya ki har khushi na ho, lekin Ling Xiao aur Jianjian jaisay behan bhai hona uski sabse bari khushqismati hai. Aur sach mein, isse bari khushqismati aur kya hogi? 🥹🤍✨ . #GoAhead #Cdrama #Ziqiu #Jianjian #Lingxiao