@sazaeeshq1: Jab jeb khaali ho aur fikar dil par bojh ban jaye, to yaad rakho: rizq tumhare haath mein nahi, Allah ke haath mein hai. Allah sab ka paalne wala hai, us ne tumhara rizq likh diya hai, aur jo tumhara hai wo tum tak zaroor pahunchega. Mehnat mat chhodo, dua mat chhodo, aur fikar Allah par chhod do. Insha Allah kal ka din aaj se behtar hoga. 🤲 #IslamicVideo #Emotional #Allah #Dua #Sabar