@definepakistanofficiall: America ke 2026 midterm elections ke baad Donald Trump aur Republican Party par Iranian social media accounts ki taraf se tanziya memes aur AI-generated videos share karne ki khabrein samne aayi hain! Define Pakistan ki report ke mutabiq viral posts mein Trump ki siyasi position aur Republicans ke election results ko tanqeed ka nishana banaya ja raha hai. Report mein dawa kiya gaya hai ke Iranian Embassy in India se mansoob ek video mein Trump ko White House se bahar nikalte hue dikhaya gaya, jabke deegar posts mein American voters ke faislay ko Iran ke saath jari kasheedgi se jora gaya. Iranian Parliament Speaker Mohammad Bagher Ghalibaf se bhi jang aur mehngai ke hawalay se tanziya bayan mansoob kiya gaya hai. #DefinePakistan #DonaldTrump #USElections2026 #IranUSA #WorldNews