@sukoone.dil4: ✨ “Anqareeb tumhara Rab tumhein itna ata farmayega ke tum khush ho jaoge.” 🤍 Kabhi apni duaon se mayoos mat hona. Allah tumhare dil ki har khwahish jaanta hai, tumhari khamoshiyon ko samajhta hai aur tumhare intezar se bhi waqif hai. Bas sabr rakho aur apne Rab par yaqeen rakho. Woh tumhein us waqt aur us tarah nawazega jab tumne socha bhi nahi hoga. InshaAllah, tumhara aane wala waqt tumhare liye khushiyon, rehmat aur barkaton se bhara hoga. 🤲🏻 #AllahParYaqeen #Sabr #Tawakkul #IslamicReminder #AllahKiRehmat ❤