@puranaylogonkibaatein: Har insan ke andar Allah ne koi na koi khaas johar rakha hota hai. Kisi mein salahiyat hoti hai, kisi mein hunar, kisi mein sochne ka alag andaaz. Lekin asal baat ye hai ke insan apni poori zindagi us johar ko pehchanne aur talash karne mein laga deta hai ya phir khud ko samjhe baghair hi duniya se rukhsat ho jata hai. Kabhi kabhi insan ke andar bohat kuch chhupa hota hai, bas zaroorat hoti hai khud ko pehchanne aur apne andar jhaankne ki.