🫀🤌ایزان لغاری😫 :
*1. Pehla qadam kis ne record kiya?*
Bhai koi pehle se wahan nahi tha. Lander ke bahar ek camera pehle se laga hua tha (MESA pe). Armstrong ne utarne se pehle usko khud on kiya tha. Aur dusri video Buzz Aldrin ne andar se shoot ki thi. Is liye 2 angle se video hai.
*2. Tare nazar kyun nahi aa rahe?*
Ye sab se aasan hai. Din me apne mobile se aasman ki photo lo, tumhe bhi tare nazar nahi aayenge. Chand pe din me boht tez dhoop thi, camera ki setting zameen ke liye thi, is liye kamzor roshni wale tare capture hi nahi hue. Camera tare dekhne ke liye nahi, astronaut ko dekhne ke liye tha.
*3. Hawa nahi hai to jhanda kyun hil raha tha?*
Jhanda hil nahi raha tha, usko hilaya ja raha tha. Jhanda latak na jaye is liye upar ek horizontal rod lagaya tha. Jab astronaut usko ghuma ke zameen me gaar raha tha, to wo hil gaya. Aur chand pe hawa na hone ki wajah se wo zyada der tak hilta raha, kyun ke usko rokne wali hawa hi nahi thi. Zameen pe hawa usko jaldi rok deti hai.
*4. Buggy ke peeche mitti / hawa kahan se aa rahi hai?*
Wo hawa nahi hai, wo mitti hai. Pehiye mitti ko peeche uchhalte hain. Chand pe gravity kam hai, is liye mitti oonchi aur door tak ja ke girti hai. Hawa hoti to mitti hawa me tairti rehti, wahan to wo seedha neeche gir rahi hai. Ye to ulta saboot hai ke wahan hawa NAHI hai.
*5. Joota aur nishan alag kyun hain?*
Ye video wale ki sab se bari ghalti hai. Astronaut ne 2 jootay pehne hue thay. Andar wala soft boot jo museum me rakha hai, aur uske upar wala Overshoe jisme gehri lines thi. Chand pe nishan Overshoe ka bana hai, museum me tum andar wala boot dekh rahe ho. Dono alag hain hi, is liye nishan alag ha
2026-11-19 13:21:38