🍂My life 🍂 :
Yaar, main kisi ko bura nahi keh rahi, lekin jo bhi mehnat karta hai, woh appreciation aur award ka haqdar hota hai. Iqra bhi award ki haqdar thi, agar usay nahi mila toh iska matlab yeh nahi ke uski mehnat kam thi. Aur is baat ko kehna koi gunah toh nahi hai na?
DHA wali madam ne bhi mehnat ki hai, unhein award mila, toh humein unki khushi mein khush hona chahiye. Aisa thori hai ke agar kisi ko award mil gaya toh hum yeh sochne lag jayein ke usay kyun mila aur humein kyun nahi?
Main yeh nahi kehti ke kisi ko award nahi milna chahiye, balki meri toh yeh soch hai ke har mehnat karne wale TikToker ko appreciation milni chahiye. Hamad, Maken, Bilal aur Martha bhi apni jagah mehnat karte hain aur award ke haqdar hain. Unhein bhi milna chahiye. Maine toh unhein kisi award function mein nahi dekha, na hi unki videos mein is tarah ki koi baat suni.
Waise award se kya hota hai? Insaan ko thori izzat milti hai, apni mehnat par fakhar hota hai. Agar is baar nahi mila toh kya hua? InshaAllah aglay baar mil jayega, bas mehnat karte raho.
Meri baat ka maqsad kisi se dushmani karna ya kisi ki khushi kam karna bilkul nahi hai. Humein ek doosre ki khushi mein shamil hona chahiye. Jab hum kisi ko khush dekh kar khush hote hain, toh dil se dua nikalti hai ke Allah Ta'ala usay aur kamyabi de. Aur jab hum doosron ke liye achha sochte hain, toh umeed hai Allah hamare liye bhi achha karega.
Agar meri kisi baat se kisi ko bura laga ho toh dil se sorry. ❤️😔
2026-11-20 01:51:28