@abrish6413: Jise Aaj Gunahgaar Samajh Rahe Ho, Kal Woh Allah Ka Mehboob Banda Ban Sakta Hai! 🤍 Kabhi kisi ke maazi ko dekh kar uske mustaqbil ka faisla mat kijiye, kyun ke jis shakhs ko aaj aap gunahon mein mubtala dekh rahe hain, mumkin hai kal woh sachay dil se tauba kar ke Allah ke itna qareeb ho jaye ke aap uska tasawwur bhi na kar sakein. Insaan ka maazi uski pehchaan nahi hota, kyun ke Allah ki rehmat ke darwazay kabhi band nahi hote. Ho sakta hai kisi ka aik aansu, aik sajda aur aik sachchi tauba uski poori zindagi badal de. Yaad rakhiye! Gunahon se nafrat karein, gunahgaar se nahi. Apne aaj par maghroor na hon, kyun ke hidayat Allah ki ata hai aur tauba ka darwaza har waqt khula hai. 🥀 Aaj kisi ko neecha dikhane ke bajaye apne anjaam ki fikr kijiye. 🤲 #toba #islamicreminder #islamicpost #viral #fypシ