@90xxkid: Zindagi mein hamesha ek acha insaan banne ki koshish karein Zaroori nahi ke duniya ki nazron mein bhi aap ache hon, zaroori ye hai ke aap apni nazron mein ache rahein Duniya aapke baare mein kya sochti hai ye hamesha aapke ikhtiyar mein nahi hota lekin aapka rawaiya, aapki niyat aur aapka kirdar aapke apne ikhtiyar mein hain Kisi ke liye aasani paida karna, kisi ka dil na dukhana aur kisi ke saath na-insafi na karna ye choti choti baatein hi insaan ke kirdar ko khoobsurat banati hain Kyunke zindagi mein ek waqt aisa bhi aata hai jab insaan duniya ke shor se alag ho kar khud se milta hai Us waqt aapka zameer aapke saamne hota hai Koshish karein ke us waqt aapko apni zaat se sharmindagi nahi balkay ek ajeeb sa sukoon mehsoos ho Asal sukoon duniya ki nazron mein acha banne mein nahi balkay apne zameer ki nazron mein surkhuru hone mein hai