Noor e Quran :
Ya Allah, duniya mein jitni bhi betiyan hain, har beti ke naseeb khoobsurat bana de. Har beti ko apni hifz-o-amaan mein rakh, uski izzat, haya, imaan aur waqar ki hifazat farma. Ya Rabb, jin betiyon ke sar par walidain ka saya hai, unke walidain ki aankhon ki thandak bana, aur jin betiyon ke walidain is duniya mein nahi rahe, Tu unka wali, madadgaar aur sahara ban ja. Ya Allah, kisi bhi beti ko mohabbat ki talaash mein apni izzat, apna sukoon aur apni pehchaan khona na pade. Unhein aise logon ki mohabbat naseeb farma jo unki qadr karein, unka ehtram karein aur unhein Tere qareeb karein. Har beti ko ghalat faislon, dhoke, buri sohbat aur gumraahi ke raaston se mehfooz farma. Unke dilon ko hidayat ke noor se roshan kar, unhein sahi aur ghalat ki pehchaan ata farma. Ya Allah, har beti ko nek naseeb, paak mohabbat, izzat wala rishta, sukoon bhara ghar aur roshan mustaqbil ata farma. Unki khamosh duaein sun le, unke dilon ke chhupe dard jaanta hai, unki har pareshani ko aasani mein badal de. Kisi beti ko duniya ke saamne majboor aur beqadr na hone dena. Ya Allah, har beti ko itna khoobsurat naseeb ata farma ke uski zindagi Teri rehmat, mohabbat aur barkaton ki gawah ban jaye. Ameen Ya Rabbul Aalameen. ❤️🤲
🥺🥺🥺
2026-11-21 11:39:45