@lahasil187: Kaash tumne ek baar yeh socha hota, Ki yeh wohi shakhs hai jo tumhare bina bikhar jaayega... Jise chhodne ka faisla tum ek pal mein kar rahi ho, Ki tum khud se kehti, Woh tumhare jaane ke baad khud ko kaise sambhaal paayega... Kaash tumhe mere pyaar par itna toh yakeen hota, "Main aisa nahi kar sakti, woh bahut royega... Woh mujhe khone ka dard seh nahi paayega." Par afsos, tumne mujhe khone se pehle ek baar bhi nahi socha, Aur maine tumhe khone ke baad bhi tumhare siwa kuch nahi socha. . . . #fypシ #fypシ゚viral #foryoupage