𝑪𝒖𝒕𝒆 𝑯𝒂𝒊𝒏 𝑯𝒂𝒎 🫣 :
Kaash mohabbat karna aur us mohabbat ko apna bana lena itna mushkil na hota… Kaash jis shakhs se dil sach mein mohabbat ho jaaye, usi se shaadi karna bhi mumkin hota. Shayad phir kisi ko kisi ki yaadon mein yun pagal nahi hona padta, kisi ko raaton ki tanhai mein aansu nahi bahane padte, kisi ko apne hi dil se roz jang nahi ladni padti.
Kyunke jo mohabbat sach mein hoti hai, woh sirf kisi ko pasand karne ya chand khoobsurat lamhe guzarne ka naam nahi hoti. Woh us shakhs ke saath poori zindagi guzarne ki khwahish hoti hai, uska haath thaam kar har mushkil ka saamna karne ka khwab hota hai, uski khushi mein apni khushi dhoondhne ka naam hoti hai.
Main bhi mohabbat karta hoon… apni Shehzadi se. Dil se, sach se, aur shayad apni zindagi ki har dua se zyada. Magar kuch majbooriyan hain, kuch maamlaat hain, kuch faislay aur halaat aise hain ke chah kar bhi hum abhi ek nahi ho pa rahe. Mohabbat apni jagah sach hai, lekin halaat apni jagah deewar ban kar kharay hain.
Kabhi kabhi sochta hoon, agar mohabbat karne walon ke naseeb mein unka mehboob likh diya jata, agar har sachay dil ki khwahish poori ho jati, to shayad duniya mein itni udaas aankhein, itni khamosh raatain aur itne adhure log na hotay.
Meri bas itni si khwahish hai ke jis se mohabbat ki hai, ek din usi ka haath thaam kar apni zindagi guzar sakoon. Allah jaanta hai mere dil mein kitni mohabbat hai aur kitni majbooriyan… Bas dua hai ke kabhi halaat bhi hamari mohabbat ke haq mein faisla kar dein. 🤍🥀🤲🏻
2026-11-28 16:14:35